ek pal ko main shadar-o-hairaan rah gayee
who jaa chuka tha jisim main kyun jaan rah gayee
mujh ko tou uss gharee bhi tera aitebar tha
jab aakhiri umeed bhi mehmaan rah gayee
bichra hai jab sey yaad bhe kam aaraha hai who
yeh zindagi tou aur bhi aasaan rah gayee ![]()
aabaad thee teray qadam kay nishaan talak
jab tou guzar gaya tou main sunsaan rah gayee
tu nay hunar kay saath mitaya kahan mujhay
mujh main teray aks ki pahchaan rah gayee
yeh shaam bhi bohat hai teri nisbaton kay saath
jo dil main lay kay wasil ka imkaan rah gayee