Ek Nazam Shahid Ke Naam

tujhe dekha pehle baar jo mainay
to laga jaisay zindagi mil gayi ho
zindagi ka matlab samjh agaya ho
jeenay ka maqsad mil gaya ho

aatma bhi hamari tarapti hai
aik nazar jo teri ham par parti hai
ankhoon hi ankhoon mai to kuch kehta hai
na janay hum par kiya guzarti hai

band laboon ke piche to kiya kiya keh jata hai
khamoosh reh kar to kiya kiya chupa deta hai
sheyd shahid tumhe malooom nahi hai
to kuch kiye beghair hi kiya kiya hamare liye kar jata hai

teray kareeb anay se aisa lagta hai
jaisay bagiche(garden) mai bahar agayi ho
teray muskuranay se aisa lagta hai
ke aik dam sey barsat agayi ho
sachai to yeh hai keh tumhe dekh kar mehsoon hota hai
keh is sunsaan duniya mai bhi koyi hai,
jissey mai apna keh sako!!!

and

soochoon mai ghum

kise ki soch mai gum kyon hain hum
woh lagtay kyon hain itnay pyarey
chand lamhat bhi un kay beghair beet kyon nahi jatay,
lagtay hi kiya hai woh hamaray!?!

some1 some1 karke bolatay hain hum unko
aisi hi kyon din beet jatay hain sarey?
muqaddar ki likhi hoyi taqdeer ko hum badal na bhi payin to
janay asmaan mai chupay hoye sitarey kiya de rahay hai isharay!

unki ankhoon mai dekhi hai aik roshni, aik chamak
na janay in ankhoon mai itnay haseen kyon hai nazaray

aj kal unke ilawa koyi dil o dimagh mai basta hi nahi
is liye to hum nay likh dalai hain itnay afsanay!

likhnay pay aye hum to unke barayme likhtay hi jayain
itni tareef soni hai humnay unki keh
becharay hum to apne dil ko hi kho bhetay!

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam

:k:

2 Likes

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam

thanx:)

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam

Yeh kon khush naseeb hai

Bechara..

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam

kaun hai yeh SHAHID naami larka. can u tell me aisha

2 Likes

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam

nicee oayyy sub apne kam se kam rakhoo :P

2 Likes

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam


koyi nahi hai, aur even hota to woh bechara na hota....


tweety tumhe jaan kar karna kiya hai ke yeh kon hai??


thanx and lol khair hai mainay handle karliye:P

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam

Yeh Shahid gwah ya Shahid Kapoor wala Shahid hy na:aq: Khub hy(I thought dosra jang wala shahid likha hy:cb:

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam

jee nahi yeh shahid kapoor wala shahid nahi hai, yeh shahid elahi wala shahid hai, u dunno him:) hehe

kaisi lagi??:D

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam

Buhat Achi:D
Woh kaisa hy:faizy:

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam

thats good, kiya matlab woh kaisa hai??:confused:

sahi hoga havent spoken to him in ages now…since the holz began

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam

jaisa b hai shukar karoo aacha haiii :P

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam

lol kiya matlab acha hai??:confused:

acha hoga karachi mai hai abhi

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam

just curious about my dear sister aisha

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam

well done ....nice poem shaheeds are never dead! they live for ever

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam

reli he is n khi chaloo hmaiinn b milaooo uss se huhh :(

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam


oh ok tweety well he is a frnd frm uni

thanx about the poem

kyon?

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam

Meray baray main itna kuch likha ja raha hai mujay pata hi nahi

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam

^:eek: kiya matlab, who are you???

Re: Ek Nazam Shahid Ke Naam

Tumhain Jan kar kia Karna hai,,,,,,,,,,,,,,,,,

Tum apne kam se kam rakho naa....