De kar nai sharab jo sarshar kar gaye
Adyan ke badan pe jo kal war kar gaye
communism ka apne jo parchar kar gaye
Allaah ke wajood ka inkaar kar gaye
Ayi jo maut un ke khudaoN ko kha gai
us falsafe ki rakh talak ko mita gai
Aise mite ke koi bhi matam kunaN na tha
youN chup huwe ke jaise ye unka bayaN na tha
PholoN ko tahniuN se utarna zaroor hai
tarteeb e gulsitaN ko bikharna zaroor hai
Is marhale se sab ko guzarna zaroor hai
MULHID bhi mante haiN ke MARNA zaroor hai
muflis pe aur bala nasheeN par bhi aaigi
bad shakl pe bhi aur haseeN par bhi aaigi
darya mai ya khala ya zameeN par bhi aaigi
lamha ho maut ka to kahiN par bhi aaigi
rahro bhi aur saheb e manzil bhi jaiga
ghasib ko khud bhi jana hai aadil bhi jaiga
sayyaad bhi safar mai hai bismil bhi jaiga
maqtool ja chuka hai to qaatil bhi jaiga
Dawa bhi maut khud hi hai khud hi wakeel hai
har cheez ka wajood fana ki daleel hai
ye zindagi to dhaage ki choti si reel hai
muddat to is jahan ki khud hi qaleel hai
DAYAM HAI DO JAHAN MAY TO TANHA WO ZAAT HAI
WO ZAAT JIS KE “KUN” SE BANI KAYINAAT HAI