~ Ek lamha lagta hai dil ke toot jaane mein ~

Zindagi ki raahoon mein
Ek lamha lagta hai
Dil kisi pe aanay mein
Mujh ko bhi mila thaa woh
Jis ko dekhtay hi dil
Be-tahaasha dharka thaa
Mujh se keh raha tha woh
Tum se pyar hai mujh ko
Muskura ke mein ne bhi
Phool le liya us se
Haath haath mein ley kar
Pyar ke ata-karda
Aasmaan per hum donoo
Chaahatay thay saath urna
Aasmaan per jeevan bhar
Koi urh saka hai kya … ?
Haath haath se choota
Ek sitaara jo toota
Tab khabar huwi mujh ko
Ek lamha lagta hai
Dil ke toot jaanay mein
Aur …
Ek umer lagti hai
Kircheyaan uthaanay mein …

Re: ~ Ek lamha lagta hai dil ke toot jaane mein ~

Wah! Bohat achey…:k: