~Ek lamha lagta hai dil ke toot jaane mein~

**Ek lamha lagta hai

Zindagi ki raahoon mein

Ek lamha lagta hai

Dil kisi pe aane mein

Ek lamha lagta hai

Mujh ko bhi mila thaa woh

Jis ko dekhte hi dil

Be-tahaasha dharka thaa

Mujh se keh raha thaa woh

Tum se pyar hai mujh ko

Muskura ke mein ne bhi

Phool le liya us se

Haath, haath mein le kar

Pyar ke ataa karda

Aasmaan pe hum donoo

Chaahatay thay saath urna

Aasmaan pe jeewan bhar

Koi urrh saka hai kya?

Haath, haath se choota

Ek sitaara jo toota

Tab khabar huwi mujh ko

Ek lamha lagta hai

Dil ke toot jaane mein

Aur umer lagti hai

Kirchiyaan uthaane mein…**

No reply :(

wah zabardast :k:

Thanks Dania …

bohat khoob :-)

Reference to your subject....

umer puri lagtee hai
phir is ko samat nay main

Nice...

beautiful color combination amer. seerat kay sath sath sorat bhee achee hay;)
yani dekhny kay sath perhny main bhee maza aa gya nice choice:k:
:flower1: :flower2:

nice

nice

ek lamha lagta hai dil key toot janey mein our umar lagti hai kirchiyaan uthaaney mein… :crying:

wah buhet he alla :(

wah.. kya kehny… bouhat he khoob… :k:

Thanks ...

Hmm :(

very touching......