ek lafz-e-mohabbat ka!!

Ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simte to dil-e-aashiq,faile to zamaana hai

hum ishq ke maaro`n ka itna hi fasaana hai
rone ko nahi koi hansne ko zamaana hai

wo aur wafa-dushman,maane hain na maana hai
sab dil ki sharaarat hai aankhon ka bahaana hai

kya husn ne samjha hai,kya ishq ne jaana hai
hum khaaqnasheeno`n ki thokar mein zamaana hai

ae ishq-e-junoon-pesha!haan ishq-e-junoon pesha
aaj ek sitamgar ko hans-hans ke rulaana hai

ye ishq nahin aasaan bas itna samajh leeje
ek aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai

aansu to bahot se hain aankhon mein jigar lekin
bindh jaaye so moti hai reh jaaye so daana hai.

Re: ek lafz-e-mohabbat ka!!

nice sharing

Re: ek lafz-e-mohabbat ka!!

ustaad ki ghazal kya kehne thx 4 sharing

Re: ek lafz-e-mohabbat ka!!

buhut khoob... :)

Re: ek lafz-e-mohabbat ka!!

Nice jee

bohot khoob daani

Re: ek lafz-e-mohabbat ka!!

waaaahh.....kea shahkar kalaam hai