Ek khwab ajab sa dekha tha

Ek khwab ajab sa dekha tha Hum us Din se bezaar Piya
Ab nend bhi Hum se rooth gai
Phir kaise ho Didaar Piya

Ab keh dalo to behtar hai
Jo krna hai Iqrar Piya

Dil Ghum se hi phatt jae ga
Kr dena na Inkar Piya

In ashkon ko in Ankhon ki
Na rok sake Diwaar Piya

Agr raste seedhe sadhay hen
To chalna kyun Dushwar Piya

Haan Jism to apna laut aya
Pr bhatke Rooh us paar Piya!!!</h2>

Re: Ek khwab ajab sa dekha tha

Hum hain mushtaq aur wo bezar
ya ilahi ye majira kiya hai

Ek khwab ajab sa dekha tha

Agr raste seedhe sadhay hen
To chalna kyun Dushwar Piya

Re: Ek khwab ajab sa dekha tha

jab majiray ka pata lag ja`ay to kuch humayn bhi Guide krdyna........bro

Re: Ek khwab ajab sa dekha tha

Ek khwab ajab sa dekha tha
Hum us Din se bezaar Piya
esa kia khan dekh liya :eek: :eek:

Re: Ek khwab ajab sa dekha tha

Sha`ir maazoor bhi to ho sakta hy..........?

Re: Ek khwab ajab sa dekha tha

Shair sy poch k bataonga…

Re: Ek khwab ajab sa dekha tha

ho sakta hy paoun me kahrabi ho
ho sakta hy chapal tuti ho ...kuch bhi ho sakta hy

Re: Ek khwab ajab sa dekha tha

right…:k: