Ek weham sa thaa dil mein
Shayad kabhi milo tum
Kuch dair ruk ke poocho
Beetay dinoo ke mausam
Awaaz mein ho larzish
Aankhoon mein ek tajassus
Maazi ka koi lamha
Shayad attak gaya ho
Sab bhool kar bhi shaayad
Kuch yaad aagaya ho
Phir mein tumhein bataoon
Apni khushi ki baatain
Har dukh chuppa ke dil mein
Aasoodgi ki baatain
Woh chaand chaudween ka
Taaroon bhari woh raatain
Dilkash haseen shaamain
Masoom waardaatain
Woh pyar ka tassavur
Aur bandagi ki baatain
Woh roz roz marna
Aur zindagi ki baatain
Tum achanak yun muskurao
Dheeray se paas aaoo
Sar ko jhuka ke apne
Chup chaap laut jaaoo
Phir mein muskuraoon
Dil ke deyey bhujaoon
Dhuraoon apne dil mein
Ek talkh si haqeeqat
Ek khwaab zindagi ka
Hai umer bhar jo dekha
Jo ho saka na poora
Yunhi raha adhoora
Haan reh gaya adhoora
Ek khwaab zindagi ka…
Again this is wonderful...
Yunhi raha adhoora
Haan reh gaya adhoora
Ek khwaab zindagi ka...
Thanks for sharing..