Ek nazam bila-unwaan likhoon to ek kahani ban jai
Jo guzra hai toofan likhoon to ek kahani ban jai
Izhaar karooon gar apna yaqeen to log tarasheN afsana
Aur dil ka vehm-o-gumaan likhoon to ek kahani ban jai
Hai jism kahan or zehen kahan may soch raha hoon may kya hoon?
Kya kehta hai vajdaan likhoon to ek kahani ban jai
Ik jhoot kay parday may sach hai aur sachayee sharminda hai
Is sach ka agar bayaan likhoon to ek kahani ban jai
Likhna hai to sab likhna hoga takay sab log samajh jain
Warna khud ko anjaaan likhoon to ek kahani ban jai
May nay jo daykha woh sach tha ya daykh raha hoon jo sach hai?
Har manzar ka Irfaan likhoon to ek kahani ban jai
–Ghalib Irfaan.