taskeen-i-dil-i-mehzoon na howi , woh say-i-karam ferma bhi gaye
is say-i-karam ko kiya kahiye , behla bhi gaye ,terpa bhi gaye
hum arz-i-wafa bhi ker na sakay , kuch kah na sakay kuch sun na sakay
yaan hum nay zubaan hi kholi thi , wahan aankh jhuki sherma bhi gaye
aashuftagi-o-wahsat ki qasam,herat ki qasam, hasrat ki qasam
ab aap kuch kaheen ya na kaheen , hum raz-i-tabussum paa bhi gaye
rodad-i-gham -i ulfat un say hum kiya kahtay , kyuoon ker kahtay
ek haraf na nikla hontoon sey aur aankh main aansoo aa bhi gaye
yah rang bahar-i-aalam ha kyoun fikar ha tujh ko aay saqi
mehfil to teri soni na howi , kuch uth bhi gaye kuch aa bhi gaye
us mehfil-i-kaif-o-masti main , us anjaman-i-arfani main
sab jam-ba-kaf bethay hi rahay , hum pee bhi gaye ,chalka bhi gaye
(israr ul haq mijaz)