na hareef-e-jaan, na shareek-e-ghum, shub-e-intazaar koi to ho
kise buzm-e-shauk mei lain hum, dil-e-be-qarar koi to ho
kise zindagi hai aziz ab, kise aarzoo-e-shub-e-taurub
magar ai nigar-e-wafa talub, tera aitebar koi to ho
kahin taar daman-e-gul milay tau yeh maan lain keh chamun khile
keh nishan fasul-e bahar ka sur-e-shakhsaar koi to ho
yeh udaas udaas se baam-o-dar, yeh ujar ujar si rah guzr
chalo hum nahin na sahi magar sir-ku’a yaar koi to ho
yeh sakoon-e-jaan ki ghari dhale tau chiragh-e-dil hi na bujh chale
wo bala se ho ghum-e-ishq ya ghum-e rozgaar koi to ho
sir-e-muqtil-e-shub-e-aarzoo hai koii to ishq ki aabroo
jo nahin aadoo tau Faraz tu keh naseeb-e-daar koi to ho
=================
=======================
Re: ek ghazal!!!
koi to ho … kya kehne nice choice m.adeel
KKF
September 8, 2009, 1:28pm
3
**salaam Adeel saaHib,
aapkii pesh karda Ghazal nazar navaaz hui aur paRh kar bahooot lutf_andoz huaa…shukria share karne ke liye. shaa’ir kaa naam agar ma’loom huaa kare to plz likh diyaa kijiye. sabhii ash’aar bhale lage Khaas kar pahlaa aur teesra.
kuchh kitaabat kii Ghalatiyaan haiN jise maiN correct kiye detaa huN in red ink. dekh lijiye plz.
Allah Haafiz
_______Hashmat**
Muhammad_Adeel:
na hareef-e jaa, na shareek-e ghum, shub-e intazaar koi tau ho
kise buzm-e shauk mei lain hum, dil-e be-qarar koi tau ho
kise zindagi hai aziz ab, kise aarzoo-e shub-e taurub
magar ai nigar-e wafa talub, tera aitebar koi tau ho
kahin taar**-e-daman-e gul milay tau yeh maan lain keh chamun khile
keh nishan -e-**fasul-e bahar ka sur-e shakhsaar koi tau ho
yeh udaas udaas se baam-o dar, yeh ujar ujar si rah guzr
chalo hum nahin to nahiiN sahi, sir-e ku’a yaar koi tau ho
yeh sakoon-e jaan ki ghari dhale tau chiragh-e dil hi na bujh chale
wo bala se ho ghum-e ishq ya ghum-e rozgaar koi tau ho
sir-e muqtil-e shub-e aarzoo hai koii tau ishq ki aabroo
jo nahin aadoo tau Faraz tu keh naseeb-e daar koi tau ho
Re: ek ghazal!!!
koi to ho. v nice sharin.
thanks to all !!!
thnx hashmat usmani sahab . .!!!