Ek ghazal

**Ghazal

fikr-o-fan kaa yuuN to ThaaTheN maartaa daryaa huuN maiN
kaun lekin is ko dekhe, kis qadar pyaasaa huuN maiN

kuchh samajh hii meN nahiiN aataa hai aaKhir kyaa huuN maiN
maiN kisii jalve kaa pardaa huuN ki Khud jalvaa huuN maiN

maiN Khud apne saamne kuchh bhii sahii, ai dil! magar
mushtarii jis ko nahiiN miltaa hai vo saudaa huuN maiN

jis tarah ik aitaraaf-e-jurm kii tasveer ho
us tarah Khaamosh tere ruu.ba.ruu baiThaa huuN maiN

ye nahiiN hai do.pahar yaa shaam ke saaye kii baat
apne saaye se ba.har.suurat bahut chhoTaa huuN maiN

jis chaman kaa tinkaa tinkaa tum uRaa kar le gayiiN
ai havaao! us chaman kaa aaKhirii tinkaa huuN maiN

tum ki merii mahfil.aaraaii se dhokaa khaa gaye
kis tarah tum ko bataauuN, kis qadar tanhaa huuN maiN

ham.kalaam :Aazaad: mujh se ab ye manzar ho na ho
sub.ha ke manzar ko ab bhii dekhtaa rahtaa huuN maiN

sher ke fan se to huuN :Aazaad: begaanaa, magar
safha-e-kaaGhaz pe likh detaa huuN jo suntaa huuN maiN !!!**

Dr. Jagannath :Aazaad:

Boht khoob…

thanks for sharing.. :flower1:

:slight_smile:

Nice :k:

Thanx :slight_smile:

wah zabardast :flower1:

Thanx Jee :slight_smile:

:k:

nice1:k:

achhii ghazal lekar aaye haiN aap Waseem sahab.

thanks for sharing..............

Thanx Cutee,V V and Pramod Bhai :)

nice`1

Buhat Aalaa

Thanx Ghazal and SaDistic !

:yawn:
:k:
:Pagri: