eK Ghazal

**ulajh^ ke reh gaye hastee ke taane baane meN
tamaam ho gayee ik u’mr is fasaane meN!

mile gee baat kahaaN yeh bh^alaa zamaane meN?
mazaa kuch^ aur hai tujh^ se fareb kh^aane meN!

mujh^e hazaar tamannaa tire qareeb aa,ooN
tujh^e yeh aik takalluf naz^ar milaane meN!

zamaanah bh^ool gayaa chalte chalte apnee raah
ko,ee to baat hai aaKhir mire fasaane meN!

shikast-o-fatH kaa ma’yaar, kaash! aisaa ho
ko,ee nah u’zr ho donoN ko sar jh^ukaane meN

:fareb-Khurdah-e-Husn-e-KhulooS hooN aisaa:
hazaar vasvase haiN us se dil lagaane meN!

:butaan-e-vehm-o-gumaaN? laa ilaaha ill.Allah!:
maiN Khud ko bh^ool gayaa tujh^ ko aazmaane meN!

fuGhaaN! k Khwaar hu,aa koo-e-yaar meN Dost:
bh^aram nah us kaa rahaa roz aane jaane meN!!!**

beautiful ghazal…:flower1:

thanks for sharing .. :slight_smile:

:k:

Ghazal kee pazeeraa’ee ke liye mamnoon hooN.

Thanx

mujhe hazaar tamannaa tire qareeb aaooN
tujhe yeh aik takalluf nazar milaane maiN!

wah… bouhat khoob Dost :k:

zabardast :k::k:

:k::k: Greatq

Sweety,Vivacious our Manan aap logo kii inaayat aur pazeeraaii kaa bahut bahut shukriya !!!