ek gazal....

vo dil ka bura, na bay-vafa tha
bus mujh say yoon he bichar gaya tha

               lafzoon kee hadoon say ma-vara tha
               ab kis say kahoon vo shakhs kia tha

               vo miree gazal ka aaina tha
               har shakhs ya batt janta tha

               main us kee ana ka aasra tha
               vo mujh say kabhee na rootha tha
               
               main dhoop kay bun meen jal raha tha
               vo saya-e-abar ban gaya tha

               main banjh rutton ka aashna tha
               vo mousam-e-gul ka zaiqa tha

               kia kuch na us say kaha gaya tha
               us nay to laboon ko see lia tha

               vo chand ka hamsafar tha shayad
               ratoon ko tamam jagta tha

               hounton meen guloon ke narm khushboo
               batoon meen to shahad ghoolta tha

               kahnay ko juda tha mujh say leken
               vo mere ragoon meen gonjta tha

               us nay jo kaha, kia vo dil nay
               inkar ka kis meen hosla tha

               yoon dil meen thee yadd us ke jaisay
               masjid meen chirag  jal raha tha

               matt pooch hijab kay qareenay
               vo mujh say be kam he khul saka tha

               us din mira dil be tha pareshan
               vo be miray dil say kuch khafa tha

               main be tha dara hoa sa leken
               rang us ka be kuch urra urra tha

               ek khof sa hijar kee rutton ka
               donon pay muheet ho chala tha

               ek rah say main be tha gurezan
               ek mour pay vo be ruk gaya tha

               ek pal main jhapak gayee jo aankhen
               manzir he manzir dosra tha

               socha to thahar gaya zamana
               dekha to vo door ja chuka tha

               qadmoon say zameen sirak gayee the
               suraj ka be rang sanvla tha

               chaltay hoay log ruk gay thay
               thahara hoa shahar ghomta tha

               sahmay hoay pair kamptay thay
               patoon main hiras raingta tha

               rakhta tha main jis meen khuvab apnay
               vo kanch ka ghar chatakh gaya tha

               hum donon ka dukh tha aaiak jaisa
               ehsas magar juda juda tha

               kal shab vo mila tha doston ko
               kahtay heen uddas lag raha tha

               mohsin ya gazal hay ya rubayee hay
               shayad tera dil dukha hoa tha

[QUOTE}rakhta tha main jis meen khuvab apnay
vo kanch ka ghar chatakh gaya tha

hum donon ka dukh tha aaiak jaisa
ehsas magar juda juda tha[/QUOTE]

buhat achai

Nice :k:

It's really good, different from many!

baziger jee...

Par ek baat samajh mein ayi nahin
Aur kisi ne bhi yeh baat samjhayi nahin,
Ke woh SHAKHS tha kaun???????????

Bohat achi ghazal hay...

thanks
Guest7777
KoiDost
swera jee & khamoshNighaeen...

khamoshNighaeen ... pata hay vo kon tha..?

Vo khushboo kee tarah phela tha meray char soo
main ussay mehsoos kar sakta tha choo sakta na tha

bohut khoob :k:
thanks for sharing

simply beautiful:flower1:

:slight_smile:

Ab pata to chal gaya ke woh aapke har taraf tha, oopar, neeche, agey, peeche. Even woh aapke ander tha, par WOH THA KAUN? :konfused:

vo tha kon:konfused:

miree hayat pay saray azab us kay heen
hay nend mere magar saray khuvab us kay heen

jahan rahoon main panahoon meen us kee rahta hoon
zameen , abbar , falak , aaftab us kay heen

vo kuch na denay pay nadim hay aaj tak mujh say
main khush hoon mujh pay karam bay-hisab us kay heen

hay shakh shakh meen shamil agarcha khoon mera
tamam khar heen meray , gulab us kay heen

Un tak pohanchna chahte to hain sabhi mager
Woh bekhabar hain sab ko pareshaan kiye hue
Shayad khaber hi kuch nahin unko TERI “Anees”
Chahat mein jinko chaak girebaan kiye hue…

Kya woh shaks kuch aisa to nahin jo itni secrecy se unke bare mein baat kar rahe hain? :stuck_out_tongue:

WOW :k::k:

khamoshNighaein… batt secrecy he ke to hay:wave: per…aaisa be naheen jo aap nay farmaya..:slight_smile:

ho jo chahat to tapak partee hay khod aankhon say
aay meray dost batanay kee zarorat naheen partee

Ohhh to pehle se hi saaf kehna tha na ke baat secrecy ki hai, mujhe kya pata tha. Awain hi itna time waste kiya, hai na :stuck_out_tongue: Was just ennoying you :smiley: Hehehe