tere janay ki jo hai kahbar suni
bas ab udasioun ka basaira hai
jo kay rehta tha mere ird gird
woh ujala tha ab andhera hai
jo main kho gaya hon is khayal main
kay bichar na jaen ham is manjhdar main
par ham milay gay bahar main
kyon kay janta hon kay tu mera hai
jo main bikhra tha hon simat gaya
jo tere seenay say hon lipat gaya
ye ajab sa ek khumar hai
teri bahon main mila ho karar hai
jo sarab tha darya kabhi
mil to gaya woh mujh ko abhi
socha bhi na tha main nay kabhi
is say seyraab honay ka intezaar hai
kasoor war khud ko samajhta hon abhi
jo chalak jaey tere chehre say udasi kabhi
jo kay lagti hai mujhe meri bay basi
dar haqeeqat woh intezaar hai.