Dania
1
Ek din yun guzaar kar dekha
Jo likha tha, sanwaar kar dekha
Girke dekha hai hamne kadmon men
Usne thokar si maar kar dekha
Jeet kar gam chalaa nahin jata
Hamne har baar haar kar dekha
Woh jo hai ham se bhi gaya guzra
Usko waeez pukar kar dekha
Ayesha, hosh ka rahaa hoga
Woh nasha bhi utaar kar dekha
Daagh
2
Re: Ek din yun guzar kar dekha
nice one Dania 
thanks 