Ek din to yay hona hi tha
Ek din bichar hi jana tha
Phir wo aj ka din hi kuen ?
Kuen yahi mah - o - saal hi kuen?
Abhi to sawan dour bohot tha
Phir dukh ki yay barsatain kuen ?
Abhi to tum say bohot thee’n kerni
Batain ehd - o - paimaa’n ki
Khwaboon ki tabeeroon ki
Palkoon pay saji tasweeroo’n ki
Jo badal sakti thee’n taqdeerain
Aisi chand lakeeroon ki
Abhi to waqt bohot para tha
Khizaan ki yay soghatain kuen?
Abhi say aisi batain kuen?
Ek din to yay hona hi tha
Phir wo aj ka din hi kuen ?
Kuen yahi mah - o - saal hi kuen?