Ek dil nay kaha ek dil nay sunni chupkay say kahani ulfat ki
kuch aahain hain kuch aansoo hain, khamosh nishani ulfat ki
hum piyar ka dukh hans hans k sahain
royain bhi agar aansoo na bahain
lab hiltay rahain faryad na ho
kuch bhi na kahain khamosh rahain
ghut ghut k marna, aahain bharna
reet purani ulfat ki
chupta naheen dil ka dard jahan
layee hay hamain taqdeer kahaan
sholay tau dabbay hain seenay main
uth’ta hay magar aahoon say dhuwaan
mushkil jo naheen, aasaan bhi naheen
yeh aag chupani ulfat ki