Ek chota sa ladka

Ek chota sa ladka thaa mein jin dinon
Ek mele mein pahuncha humakta huwa
Jee machalta thaa ek ek shai pe magar
Jeb khaali thee kuch mol le na saka
Laut aaya liye hasratein saikdon
Ek chota sa ladka tha mein jin dinon

Khair mehroomion ke woh din to gaye
Aaj mela laga hai usie shaan se
Aaj chahhoon to ek ek dukaan mol loon
Aaj chahoon to saara jahan mol loon
Narsaayee ka ab jee mein dhadka kahan
Per woh chota sa, Alhar sa ladka kahan

By: Ibn e Insha

Re: Ek chota sa ladka

:bummer:

Re: Ek chota sa ladka

aik na aik din bara hona parta hai:smack:

Re: Ek chota sa ladka

jaise aaj mai bari ho gayen :blush:

Re: Ek chota sa ladka

wo be fikre wale zamane :hinna:

Re: Ek chota sa ladka

ye daulat bhii le lo, ye shoharat bhii le lo
bhale chhiin lo mujhase merii javaanii
magar mujhako lautaa do bachapan kaa saavan
vo kaagaz kii kashtii, vo baarish kaa paanii
:xeno:

Re: Ek chota sa ladka

Ye saja sajaya ghar sathi, meri zaat nahin mera haal nahin
Ae kash kabhi tum jaan sako jo iss sukh ne aazaar dia

:hinna:

Re: Ek chota sa ladka

:hinna:

aaaaaaaaaaaaa:crying:
mood off ker diya na aapneeeee

Re: Ek chota sa ladka

Ye wala sher hamare ek client ne tab padha jab un ki company ko iss budget main ek tax benefit mila, jis ki waja se unki record keeping ka kaam badh gaya :hehe:

Re: Ek chota sa ladka

:rotfl: