*~ek Chehra~*

ek cheharaa saath saath rahaa jo milaa nahii
kisko talaash karate rahe kuchh pataa nahii

shiddat kii dhuup tez havaaon ke baavajuud
main shaaKh se giraa huuN nazar se giraa nahii

aaKhir Gazal kaa taajamahal bhii hai makabaraa
ham zindagii thay humko kisii ne jiyaa nahii

jiskii mukhaalfat hui mashhoor ho gayaa
in pattharon se koii parindaa giraa nahii

taariikiyon mein aur chamaktii hai dil kii dhuup
suuraj tamaam raat yahaan Duubtaa nahii

kisnay jalaaii bastiyaaN baazaar kyon luTay
main chatting kar raha thaa mujhe kuchh pataa nahii:hehe:

bashir badar.