Kaam aa na saki apni wafaein tu kya karain
Ek bewafa ko bhool na jaayein tu kya karain
Mujh ko yeh aitraaf duaoon mein hai assar
Jayein na jo arsh pe yeh duaein tu kya karain
Ek din ki baat ho tu bhool jaayein hum
Naazil hon roz dil per balayein tu kya karain
Shab bhar tu unki yaad mein taaray gina keyay
Taaray say din ko bhi nazar aayein tu kya karain
Ehad-e-tarab ki yaad mein roya keyay bahut
Ab muskura ke bhool na jaayein tu kya karain
Ab ji main hai ke un ko bhula kar hi dekh lain
Woh baar baar yaad jo aayein tu kya karain
Tark-e-wafa bhi jurm-e-muhabbat hi sahi
Milne lageen wafa ki sazain tu kya karain