Kal raat achaanak
Ek bechaini ne dil pay
Dastak di …
Aur mein
Harbaraa kar uth baithi
Ghabra kar sochna chaaha ke
Yeh bechaini damangeer kyon hai
Kyon mera sukoon khafa horaha hai
Mein ne socha aur sochti chali gaee
Khayaloon ko bikhaira
Yaadoon ko samaita
Zehan ke nihaan khaanoo ko tatoola
Magar koi nishaan nazar na aaya
Koi sirra na haath aaya
Yahaan tak kay
Issi talaash mein
Soch ke paoon thak gaye
Khayaal saare bhattak gaye
Yaadain bhi khamosh raheen
Aur hairaani se mujhe taknay lageen
Kay …
Sirf ek jawaaz ki talaash ne
Mere ander kaisa toofaan barpa kar dia
Phir mein khud bhi thaknay lagi
Magar habs thaa ke barhta hi chala gaya
Aankhoon mein jallan hone lagi
Aur jab kuch samajh na aaya tau
Ek be-naam aansoo
Palkoon se sitaaray ki tarah toota
Aur
Gaaloon pe bikhar gaya …