Ab bhi meri nazmoo mein tu mujh se batain karti hai
Mein sara aalam bhool bhula ke tujh ko sunta rehta hoon
Armaan bhara dil le kar mein ehsaas ki kori chadar per
Aas ke nazuk lafzoon se tere sapnay bunta rehta hoon
Ek baar tujh mil pane ki hontoo per duwaein rehti hain
Dil tasbeeh karta rehta hai mein man’nattain maanta rehta hoon
Kabhi sath tra jeevan bhar ka, kabhi ek jhalak tere chehre ki
Na jane is madhoshi mein, main kya kya mangta rehta hoon
Yadoon ke deep jala kar mein, socho ke ujray gulshan mein
Khwahish ki doori per har dam, umeedain bandhta rehta hoon
Per sach ki duniya mein aa kar, jab sach kuch jhoota lagta hai
Mein apne dil ke angaroon mein, matwaatar jalta rehta hoon