ek baat atak rahee hay ab tak

rukhsat ki kasak rahee hay ab tak
ek shaam sulag rahee hay ab tak

shab kis nay yahaan qadam rakha tha
dehleez chamak rahee hay ab tak

mathay pay wo lab thay sania bhar
aur rooh mehak rahee hay ab tak

daykha tha yeh kis nazar say ous nay
tasweer damak rahee hay ab tak

jo baat kahee naheen the ous say
lehjay main khanak rahee hay ab tak

doonoon kay laboon tak aatay aatay
ek baat atak rahee hay ab tak

simple n beautiful :K:

really, beautiful.. :k::k:

very nice

hum laboan say keh na payae un say halay dil kabhe
aur woh samjhay nahin yeah khamoshi kiya cheze hay

excellent:k::k:

Re: ek baat atak rahee hay ab tak

[QUOTE]
*Originally posted by Man de Mouj: *
rukhsat ki kasak rahee hay ab tak
ek shaam sulag rahee hay ab tak

shab kis nay yahaan qadam rakha tha
dehleez chamak rahee hay ab tak

mathay pay wo lab thay sania bhar
aur rooh mehak rahee hay ab tak

daykha tha yeh kis nazar say ous nay
tasweer damak rahee hay ab tak

jo baat kahee naheen the ous say
lehjay main khanak rahee hay ab tak

doonoon kay laboon tak aatay aatay
ek baat atak rahee hay ab tak
[/QUOTE]
Beautiful as usual ... Thanks a lot for for sharing..

:k:
Thnx for sharing:flower1:…

Re: ek baat atak rahee hay ab tak

bohat bohat shoukria aap sab ka