Ek Baadal Hoon Main....

**
Aawara Hawaaon Mein Urtaa Ek Aawara Baadal Hoon Main
Khud Chain Hoon Apne Dil Ka, Aur Khud Hi Dil Ki Halchal Hoon Main

Main Ne Hi Hasaaya Hai Dil Ko, Jab Jab Tha Udaasi Ka Aalam
Roya Hoon Lipat Kar Khud Se Hi, Ek Bheega Sa Aanchal Hoon Main

Kal, Aaj Aur Kal Ko, Yun Main Ne Seeney Se Lagaa Kar Rakha Hai
Khud Aaney Waala Waqt Hoon, Aur Khud Guzraa Huwa Harr Pal Hoon Main

Aa Mujh Ko Sajaa Le Honton Par, Naghmaa Hoon Teri Harr Dhadkan Ka
Aa Phir Se Basaa Le Aankhon Mein Teri Aankhon Ka Kaajal Hoon Main

Tu Laakh Sitam Dhaata Hai Aur Shikwaa Bhi Nahi Hai Kyun Mujhko
Haan Tera Hoon Deewaana Aur, Haan Tere Liye Paagal Hoon Main

Aaya Hoon Jahaan Se, Jaana Hai Phir Laut Wahin Ek Din Mujhko
Bas Naam Ko Aawara Hoon, Aur Bas Naam Ka Ek Baadal Hoon Main**

Re: Ek Baadal Hoon Main....

Nice.

Re: Ek Baadal Hoon Main....

Shukriya Umer ....:)

Re: Ek Baadal Hoon Main…

Nice one… Tnx For Sharing :flower1:

Re: Ek Baadal Hoon Main....

bahot hi khoobsurat......Aryaan

Re: Ek Baadal Hoon Main....

Bohat shukriya GS & Reet ....:)

Re: Ek Baadal Hoon Main…

:k: thanks for sharin ari

Re: Ek Baadal Hoon Main…

Thanx for liking Koyal:flower2:

Re: Ek Baadal Hoon Main…

nice :k:

Re: Ek Baadal Hoon Main…

Thanx Jhuki Nigahein:flower2: