ek aur ghazal.....................

zindagi kat gayi mehshar ke azaabon ki tarah,
aap miltey hain to sehra mein sarabon ki tarah,

is se pehlay to na hum thay kisi ke taabe,
raaj kerta hai koi dil pe nawabon ki tarah,

is ka hur lamha-e-khamoshi hai taqreer-e-wafa,
naqsh dil per meray hota hai kitaabon ki tarah,

kissah yusuf ka sunaati hi rahay gi duniya,
husn bikta nahin duniya mein gulaabon ki tarah,

roshni shama-e-muhabbat ki hai pheli shayad,
meri turbat pe woh bethay hein chiraghon ki tarah.

aachi hai!