~*~ Ek aarzoo si hai dil mein ... Ke un ko bhool jayain hum ~*~

*Zamanay se suna thaa ke muhabbat haar jaati hai
Jo chaahat ek taraf se ho woh chaahat haar jaati hai

Kaheen per dua ka ek lafz bhi assar kar jaata hai
Kaheen barsoon ki ibaadat haar jaati hai

Muhabbat kab kisi ko dushmani ka dars deti hai
Muhabbat ki baazi mein tu adaawat haar jaati hai

Humein kitne bhi shikway hon un ki jafa’oun ke
Per un ke saamnay har ek shikaayat haar jaati hai

Ek aarzoo si hai dil mein ke un ko bhool jayain hum
Per u ki yaad aatay hi yeh hasrat haar jaati hai …
*