Eik pal bhi teri yaad say GHafil na reh sakay

** Eik pal bhi teri yaad say GHafil na reh sakay Hum mehfilo maiN reh kay bhi SHamil na reh sakay

MaiN teri GHamgusaari ka mamnooN hooN magar
Kyu AAnsoo meray AAnkh say teri na beh sakay

Go zabt peh apnay hamesha naaz raha hai
Lekin yeh kaisa dukh hai jo hum bhi na seh sakay

MaSHhoor hai bohat hamara tarz e takallum
per eik baat AAj tak un say na keh sakay

Un say milay keh kum ko shayed hijr ki chubhan
Mil milkay yuN hua keh sukooN say na reh sakay

Qismat naheeN keh chahay koi TooT ker hamaiN
Phir bhi yeh AArzoo kiay bina na reh sakay

Ali bichaR kay maiN tu hua hee tha beqarar
meray baGHair chain say woh bhi na reh sakay

                                   -  Ali (WG)

**

Beautiful.... very nice

meray baGHair chain say woh bhi na reh sakay

Bohut khoob :k:
thanks for sharing

veryyy nice :k:

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Beautiful.... very nice
[/QUOTE]

Thanks Dilsay :)

Jee yeh baat sach bhi hai,
**
meray baGHair chain say woh bhi na reh sakay
**

Thanks Chando Jee :slight_smile:

Eik pal bhi teri yaad say GHafil na reh sakay
Hum mehfilo maiN reh kay bhi SHamil na reh sakay

kya khobsursat baat hai..wah..really aisaa hii hota hai..;)

MaiN teri GHamgusaari ka mamnooN hooN magar
Kyu AAnsoo meray AAnkh say teri na beh sakay

kya baat hai..simply mind blowing;) waqai jab ye ho jai to yaani tmam mazlein tai

Go zabt peh apnay hamesha naaz raha hai
Lekin yeh kaisa dukh hai jo hum bhi na seh sakay

good

*MaSHhoor hai bohat hamara tarz e takallum
per eik baat AAj tak un say na keh sakay *

is trah to hota hai is trah k kaamoun mein;)

Qismat naheeN keh chahay koi TooT ker hamaiN
Phir bhi yeh AArzoo kiay bina na reh sakay

itni desperation ;) thats bad!

Ali bichaR kay maiN tu hua hee tha beqarar
meray baGHair chain say woh bhi na reh sakay

ye hui naa baat..!

buhat khobsurat! keep on sharing such nice things.
very nice!

Re: Eik pal bhi teri yaad say GHafil na reh sakay

Beautiful :k:

[QUOTE]
Originally posted by weteyes82: *
**Eik pal bhi teri yaad say GHafil na reh sakay
Hum mehfilo maiN reh kay bhi SHamil na reh sakay
*

kya khobsursat baat hai..wah..really aisaa hii hota hai..;)

MaiN teri GHamgusaari ka mamnooN hooN magar
Kyu AAnsoo meray AAnkh say teri na beh sakay

kya baat hai..simply mind blowing;) waqai jab ye ho jai to yaani tmam mazlein tai

Go zabt peh apnay hamesha naaz raha hai
Lekin yeh kaisa dukh hai jo hum bhi na seh sakay

good

*MaSHhoor hai bohat hamara tarz e takallum
per eik baat AAj tak un say na keh sakay *

is trah to hota hai is trah k kaamoun mein;)

Qismat naheeN keh chahay koi TooT ker hamaiN
Phir bhi yeh AArzoo kiay bina na reh sakay

itni desperation ;) thats bad!

Ali bichaR kay maiN tu hua hee tha beqarar
meray baGHair chain say woh bhi na reh sakay

ye hui naa baat..!

buhat khobsurat! keep on sharing such nice things.
very nice!
[/QUOTE]

Thanks,
Although nice anatomical assessment, but one can feel the sarcasm behind this lavish praise...
Baykaar apnay jee ko jalati hai raat bhar (Verse from next ghazal)

Re: Re: Eik pal bhi teri yaad say GHafil na reh sakay

Thanks Capricorn :slight_smile:

Re: Eik pal bhi teri yaad say GHafil na reh sakay

Really…:blush: :blush: :stuck_out_tongue:

:k:

Re: Eik pal bhi teri yaad say GHafil na reh sakay

Bohat khoob WiseGuy:k:…very well done. Keep it up:)

Re: Re: Eik pal bhi teri yaad say GHafil na reh sakay

Bohat Shukriya Amal Jee, :slight_smile:

Re: Re: Eik pal bhi teri yaad say GHafil na reh sakay

Really really, :french:

Re: Eik pal bhi teri yaad say GHafil na reh sakay

[QUOTE]
Originally posted by WiseGuy: *

*
Eik pal bhi teri yaad say GHafil na reh sakay
Hum mehfilo maiN reh kay bhi SHamil na reh sakay

Qismat naheeN keh chahay koi TooT ker hamaiN
Phir bhi yeh AArzoo kiay bina na reh sakay

                                   -

**
[/QUOTE]

Wah! Bohaaaaaaaaat Khooooob...
Itna acha lika ap nay..
I like it very much:)

bohat khoob :k:

good one

Wonderful piece…:k:

boht khob aqalmand guy:)