Eik masoom takaddus mein bhigoya huwa lams

**Eik masoom takaddus mein bhigoya huwa lams
Kitna pakeeza hai ehsas mein dhoya huwa lams

Ye tere jism ki khushboo ka sonehra ehsas
Jis terha chand ke haaley mein paroya huwa lams

Us ke hontoon ko main chhu loon to guman hota hai
Jese janat ke gulaboon mein daboya huwa lams

Jo meri rouh mein utrey he chale jate ho
Ik nae rang mein ubhrey ga ye boya huwa lams

Bhegi khusboo mein basa wasl mein bhega bhega
Kitna masoom hai pehlo mein ye soya huwa lams

Tishnagi aan basi hai meri pooroon mein ‘Wasi’
Dhondta phirta hoon mudat se main khoya huwa lams

(Wasi Shah)**

Re: Eik masoom takaddus mein bhigoya huwa lams

good one :):k: