mere eik masoom see khwahish hai… eik bander paloon.
Bander ki training hoo gi , training kaay baad..Googa will be ready for real world.
Oyi googay pani tau pila daay..
googay yaar zara daikhna bahar darwazay pay koon aya hai
googay meray phone ka charger dhoond kay lao
yaar googay i know you r sleeping but be a pal and go get me 100 rupay ka phone carAd
Googa ji u forgott to get change from sabzi wala..again…
googs char chai kay koNp bana kay lao…
waghaira waghaira
latest one… googay yaar yeh KKF ki post tau translate karr dou asaan zuban may
ab mahngaaii ke Dar se bandariyaa ko reject kar denaa qaabil-e-sitaa’ish nahiiN…are bhai, use khiRkii meN biThaa denaa to vo kamaa ke bhii degii…ab kia Gham?
aur agar khirki may baith kay us nay kisi kay sir may gamla maar diya phool samait… koon zamanat karwata phiray ga… police ka hall tau pata hoo ga…
aur yeh khirki may baith kay koon se kamai hooti hai?
ab itne buddhoo bhii na bano ji vaise, ab log saRkoN pe bandariya ke Drame dekhte haiN jo maike jaa kar kartii hai jab bandar mahaaraaj use lene jaate haiN DanDaa haath meN thaame huye…to bas, vohii ‘Dramebaazii’ khiRkii meN bhii ho saktii ahi
haaN, yeh saHeeH rahegaa…heeng lage na phiTkirii, rang chokhaa! vaise, aajkal ke gadhoN se to bandar miyaaN laakh darja bahtar saabit hoNge…bandar to phir bhii insaan kaa cousin hai…gadhe se to koii rishtedaarii bhii nahiiN
haaN, yeh saHeeH rahegaa...heeng lage na phiTkirii, rang chokhaa! :D vaise, aajkal ke gadhoN se to bandar miyaaN laakh darja bahtar saabit hoNge...bandar to phir bhii insaan kaa cousin hai...gadhe se to koii rishtedaarii bhii nahiiN ;) :p
jab elected member gadhay ko apna baap bana laita hai tau wohi haal hoota hai jo is mulAk ka iss waqt hai
dekho baat kahaN se kahaN chali gaii…mazaaq mazaaq meN baat serious ho gaii…Allah hamaarii qaum per raHm kare…hameN bhii chaahiye k ham bhii KHud apne aap ko saHeeH kareN…aameen