Koi nazam, gheet ya ghazal jo Eid kay baray maiN, ya koi sha’iar jis maiN Eid ka lafaz ata ho ki darkhwast karta hooN.
** ahmadjee ** hope u like it :)
Raas aajati humein bhi 'Eid' ki khusheyaan tamaam
Kaash tu bhi paas hota 'Eid' ke lamhaat mein
Dastoor hai duniya ka magar yeh tu batao
Hum kis se milain kis se kahain 'Eid' mubarak
Mujhe mil gaya bahaana teri deed ka
Kaisi khushi le ke aaya chaand 'Eid' ka
Hum ne is saal bhi na paaee tere gham se nijaat
Hum ne is saal bhi na dekha 'Eid' ka chaand
Kya lutf-e-'Eid' hai jo agar tum se door hoo
Guzrega roz-e-'Eid' tasavvur mein aap ke
Ghairoon mein jo hai shaad ussay 'Eid' mubaarak
Hum jis ko nahee yaad ussay 'Eid' mubarak
Ehbaab poochtay hain bari saadgi ke saath
Tu ab ke saal 'Eid' manaayega kis tarha
Is meharbaan ki nazar-e-inayat ka shukriya
Tohfa diya hai 'Eid' pe hum ko judai ka
**
Eid ke chaand ki maan'ind huwa hai ab tau
Haye woh shaks ke har roz mila karta thaa
**
arz kyaa hai khanstay huve.
Eid aayi hai loug kehtay hain
tum jo aayo tou yaqeen aa jaaye
aadaab arz hai lakhnaho ke style mein but paan ke bagher
eid ka moqa ha galay aaj to mil le zalim
rasm i duniya bi ha moqa bi ha dastoor bi ha
:p
Eid kay din unhain bhi yaad rakhna
Aanay wala,
hilal-e-Eid Mubarak ho,
Aye khushion kay mutlashio!
zroor mnana khushian,
keh Eid ka din ho ga,
Eid yom-e-Rehmat-e-Rabbi hay,
yeh barhi naveed ka din hay,
Lekin Eid kay din!
unhain bhi yaad rakhna!
jo phansay hain,
zulmaton kay andhairon main,
jin ki sanson per,
Eid kay din bhi,
golion kay, bamon kay, topon kay pehray hain,
Yaad rakhna un Shaheed doolhon ko!
Eid kay din bhi! jinkay,
Lahu main ter-b-ter sehray hain,
Un budnaseeb,
dulhanon ki siskian bhi dhaian main rakhna,
jin say jurm-e-baygunahi kay karan,
chhin gia suhaag ka surkh jorha,
jo baiwagi ki sufaid chadar orhay,
aaj tuk! apnay khawabon per noha khawan hain,
Un mausoom bachon ko bhi yaad rakhna!
jo zamanay ki cheera dustion ka shikar huway,
jinkay baap Shaheed huway,
jinki maaien rondi gaien,
jo hanstay khailtay ujrhay,
baybus-o-yateem-o-lachaar huway,
Yeh doolhay, yeh dulhanain, yeh yateem-o-yeseer bachay,
Aalam-e-bala main nahin, isi jahan main hain,
haan yeh sari zulam ki dastanain bikhri,
Kashmir, Flusteen, Chichania, Bosnia, Afghanistan main hain,
Hum! unkay dukh,
kum to nahin ker saktay,
magar!
itna to hamaray akhtiar main hay,
keh! Eid kay din ko!
jisqadar ho skay saadgi say manaaien,
apnay Rab kay hazoor, sajday main ja ker,
mangtay huway Musalmanan-e-Aalam kay sakoon ki duaien
BHOOL JAANA CHAHTA HOON
Chand raat hai, aur meri yeh dua hai
Keh meri umer kay lamhay tujhay lag jaien
Teray gham mujhay aur meri khushian tujhay lag kaien
Tera yeh kehna keh tum nay kabhi chaha nahin
Duaon main rab say manga nahin
Laikin in lamhoon main koi lamha tu aisa hoga
Jab teri aankh meray leye roi hogi
Apni aankh main meray leye sapnoon ki fasal boi hogi
Mujhay bay had o bay hesab chaha hoga.
Aisi hi chand raaton main chanda dekhtay zer-e-lab kuch kaha hoga
Ab ki bar ...............
Ab ki bar chand dekhna tu dua mangna
Keh main bhi tujhay teri tarah bhool jaon
Aur woh dukh narsai ka
Jo amar bail ki tarah meri rooh say lipat giya hai
TUJHAY CHAHNAY KA DARD
MERI ZAAT MAIN SIMAT GIYA HAI
ISS DUKH KAY KHRIND KO UTARNA CHAHTA HOON
TERI BAY RUKHI KAY MAUSAM SMAIT
TERI SARD MEHARIYON KI CHADER TAAN KAY
KABHI NA JAGNAY WALI NEED SO JANA CHAHTA HOON
TERI TARAH TUJHAY BHOOL JANA CHAHTA HOON
Hai wohi aasmaa’n, zamee’n wohi
Maah-o-anjum ussee terha roushan
Kehkeshaa’n ab bhi muskuraati hai
Phool kaliyaa’n mahek rahi hai’n you’nhi
Baad muddat kay saarey perdaisee
Apney apney gharou’n ko lout aaey hai’n
Her taraf rang-o-boo ka mailaa hai
Aur tanhaa mei’n apney kamrey mei’n
Kab say baithi hoo’n aur souchti hoo’n
Jaaney kia baat hai ke gher mei’n meray
Jo guzashta baras thi rounaq ab
Woh kahi’n bhi nazar nahi’n aati
Hai fiza mei’n ajeeb sannata
Haa’n faqat ek teray jaaney say
Aisaa mehsoos ho raha hai mujhey
Rut khushi ki tou her taraf aaee
Sirf choutay say meray Aangan mei’n
EID ab kay baras nahi’n aaee…
Abhi zid na karr dil-e bay-khabar
Ke passay hajoom-e sitam garan
Abhi kon tujh se wafa karay
Abhi kis ko fursat hai iss kadar
Ke samait karr tayri kirchiyan
Tere haq mai khud say duaa karay
abhi zid na karr dil-e bay-khabar
k tahay ghubaray gham-e-jahan
kahan kho gaey tayray charaa gar
k rah-e-hayat mai raeegan
kahan so gaey tayray ham-safar
abhi gham gusaaron ke chot seh
abhi kuch na sun abhi kuch na keh
abhi zid na karr mairay bay-nawa
abhi ho sakay tou sakhi mairay
sabhi khuwab raakh mai dafn karr
abhi ho sakay tou ye soch lai
k taloo-e-ashk say paishtar
kaheen dard hai tou howa karay
kaheen chot hai tou khila karay
kabhi yon bhi ho k siray ufak
tayray dukh ka chand damak uthay
koi tees khud say chamak uthay
kisee sheher-e-zakham farosh mai
koi zakham khud se khareed karr
sabhi aks khud se khurach kabhi
kisee ayenay pay na deed karr
kabhi yon bhee jashn-e-tarab mana
kabhi iss tarah se bhi EID karr
Mohsin Naqvi
ahaaaaaaaaa thx Arif Bhai …:k:
**
HeArT HaCKeR **
Thanks Sis and keep smiling ![]()
:~) Thanks everyone!