**Eid Day 3 Celebration
****Khail Khilari and Audio Forum presents: Eid drama with Javed Miandad
**o celebrate a wonderful occasion of Eid with all of GupShup, in a combined presentation with Audio Gallery, Khail Khilari is proud to present an Eid drama parody with a cricket legend (of Pakistan cricket :P), Javed Miandad, with Zobia as the performing host. In addition to the drama, Elegance chipped in with a great contribution of running PTV-style ads. Thank you to all who participated.
Special appearance in this Eid drama by TLK/Niksik’s daughter Marya
You can listen to Audio Version here
http://www.paklinks.com/gs/audio-gallery/298267-eid-day-3-khail-khilari-audio-forum-presents-eid-drama-javed-miandad.html
==============
Javed Miandad Show
==============
^^ PTV-style ads by Elegance ^^
Program ke liye humaray saath taawun kiya hai
Ting Tong anti-hair shampoo bananay waalay
Tata marka sabun bananay walay
Siraf batain bananay walay
hawaon main teer bananay walay
dil ki bharras nikaalnay walay
Mickey pan banana waalay
ullu bananay waalay
Ramzan ke doraan phal shal kha kay sehat bananay walay
China ki ping pong chai bananay walay cheechu cheechu cha cha international
Baba cigratte bananay waallay
Kharab cooking oil bananay walay
Monkey facewash bananay waalay
Wuzaarti kursi murammat karnay walay
Aunty ice cream bananay walay
Chhuk chhuk chhaliya bananay walay
Guddu chewngum bananay walay
Taking a long breath
Glass mian pani undailnay ki awaz
Buk buk thread bananay walay
Banana saib bananay walay
Kismet ka haal batanay waalay
Billu paan bananay walay
Tik tik biscuit banana waalon nay #
Marya**:** Assalam-o-Alaikum. Mera naam Marya hai. Aap sub ko Eid Mubarak hai.
Host: Ahem Miandad Sahab, Assalam-o-Alaikum
Javed Miandad: Arey, Walikum Assalam, Walikum Assalam, abey kisi nay pehchaana mujhe? Mein Miandad bol raha hoon, kharday ho kay salaam karo abbu ko. Mein cricket khail kar aa raha hoon, darasul saans meri phooli hui hai aur mohallay kay bachon nay buhat bhagaaya hai yaar, buhat bhagaaya hai mohallay kay bachon nay… mein cricket khail kar aa raha hoon. Achaa kiya naam hai tumhara?
Zobia: Jee mera naam Zobia hai.
JM: Ab dekhein jee aapnay meri bay-izzati karnay kay liyey aapnay apnay show mein bulaaya hai? Aapnay mujhe apna naam bataanay kay liyey show mein bulaaya hai? Bus bus theek hai, theek hai, meri marzi mein aapka naam jaisey bhi bolon. Zabardasti hai? Eid hai Eid, Zardari sey bolo jaa kay meri Eidi bhijwaaye. Poori 10% chahiyey 10%! Eik paisa kum hua, mein balla kheench kay maar donga
Zobia: Miandad Sahab, aapki Zardari sey banti hai?
JM: Yeh kiss qisam ka behooda sawaal pooch rahi hain aap? Kiss qisam ka sawaal hai yeh? Arey Zardari sey banti hai woh mera salaa hai. Asal mein baat yeh hai kay hum eik din patang uraa rahey thay, hain, hum eik din patang uraa rahey thay. Beech mein bijli ka khambaa aagaya khambaa… to mein nay maanjhay ko dheel di aur khambay tuk lay gaya. Zardari ki patang bhi hawaa mein urr rahi thi. Mein nay Googly phainki, maanjha kheencha aur uski patang cut gayi.
Zobia: Eid ka mauqaa hai. Pakistan ki cricket kay baray mein aapki kaafi raaye hain. Kiya socha hai aapnay Pakistan ki cricket ki taraqqee aur bahaali kay liyey?
JM: Abey yaar mujhe coach banao. Mujhe coach banao Pakistan ka. Mein keh raha hoon kay pooray mulk mein mujhsay zaada pardha likha jaahil… mera matlab, pardha likha insaan koi nahin hai. Buhat zaada pardha likha hoon mein. Patah nahin hai tum logon ko. Mein nay college ki degree li hui hai degree. Mein buhat, mein London jaa chuka hoon. Mein America jaa chuka hoon. Mein Japan jaa chuka hoon. Mein China jaa chuka hoon. Mein…haan mein wahan bhi jaa chuka hoon. To mein pardha likha hoon yaar, samjha karo. Pakistan ka coach jo hai na, bilkul kharaab ghatiyaa qisam ka coach hai. Mujhe coach banao coach, mein aaj hee larkon ko seedha kar donga. Mein seedha kar donga un sub ko, Salman Butt ko, mein seedha kar donga. Sub ko seedha kar donga mein. Mera naam Javed Miandad hai, mein subko seedha kar donga. Yeh jo larkay hain na jee, yeh World Cup jeet kay laayengey World Cup.
Zobia: Aap eik nihaayat heeee azeeeeeeeeem cricketer thay apnay zamaanay kay.
JM: Haan to…azeem kiya matlab, mein azeem hoon. Kiya mazaaq lagaaya hua hai aapnay apnay show mein? Azeem ka matlab mein azeem hoon yaar… ajeeb museebat hai. Mein azeem cricketer hoon, patah nahin hai aapko…mera naam Javed Miandad hai. Mein nay centuriyaan banaayi hain centuriyaan, mein nay fiftiyaan banaayi hain. Mein nay, mein nay, haan mein nay woh sub kuch banaaya hua hai, sub kuch mein kar chuka hoon Pakistan kay liyey. Ab inko chahiyey kay mujhe coach banaayein coach…mein in sub bachon…sub larkon ko seedha kar donga. Sub ko seedha kar donga mein. Salman Butt ko, mein subko seedha kar donga.
Zobia: Nazreen, yeh thay hamaaray muazziz mehmaan Javed Miandad Sahab. Agli Eid mein jaan baaqi rahi to phir mulaaqat hogi. Jub tuk kay liyey subko, Zobia aur hamaray show ki taraf sey, Allah Hafiz, aur Eid Mubarak.