Eid ka chand

Eid ka chaand hai khushiyon ka sawaali
Khushiyaan bheek main maangay say kahaan milti hain…
Dast e saail main agar kaasa_e_gham cheekh uthay,
Tab kaheen jaa k sitaaron say giraan milti hain…
Eid k chaand..!!! Mujhay maharm_e_ishrat na bana…
Meri soorat ko tamaasha_e_alam rahnay de…
Mujh pay heraan hain ahal_e_karam honay do,
Duhar main mujh ko shanaasa_e_alam rahnay do…
Ye musrat ki fizaaen to chali jaati hain,
Kal wahi ranj k Aalaam k dhaaray hongay…
Chand lamhon k liye aaj galay say lag ja…
Itnay din tu nay bhi zulmat main guzaaray hongay…

Re: Eid ka chand

eid ka chand to ab EID KA CHAND HO GYAA