Yeah kaysi hay masjid yarou
lashain dhurra dhayar hain
ghour say daikhou lashoun kou yarou
aik munnay ki bhi lash aik hay
Ajj subha Eid hay!
Kashmir yeah Algeria yeah Kosovo
Qutul-Musluman ruwan raiz hay
Baiwa, yuteem, aour dukhee manain
hur turuf matum geer hain
Ajj subha Eid hay!
Kayah hou gaya hay murd-e-Musluman kou yaraou
Sub daikh kay bhi khoueen iss kay surd ou sufaid hay!
Ajj subha Eid hay!
Shahee-Iqbal Malik
18th Jan 1999