Assalaam Alaikum
Bilkul Taaza nazm hazir hai aap logon ki khidmat me, Insha Allah waqt mila to amendment ke baad phir se yahi nazm post karoon ga…
EID, Away home
Haye yeh kaisi eid aayi hai
Aaj ek aisi eid aayi hai…
Rang gubbaron pe nahi khilte
Dost bhi ab gale nahi milte
Mai, mera gum, meri tanhai hai
Haye yeh kaisi eid aayi hai…
Ab sivayyon me zaiqa na raha
Zafrani sa wo maza na raha
Beete lamho’n ki bas ruswaai hai
Aaj ek aisi eid aayi hai…