Eid aai magar woh kyun aaya nahi..?

Eid ki rutt bhi sham e ghareeban hui
wo jo chanda se payara hay
Rab ki qassam
dekhoun uski jhalak to meri Eid Ho
chand mere nikal k teri deed ho
Bud naseebi meri k wo chanda mera
mere angaan main muddat se utra nahin…
Eid ka saaman Aah main kese karoon??
k meri eid ka chand nikla nhi
main kese sajoon k ab Eid per
kaanch ki chooriyan b wo laya nhi
Eid aai mager
wo kiun aaya nahi…?
aisa lagta hay k ab kisi or ki
chat pe ban k wo chanda chamaknay laga
narm hathon ko hathon main thaamay huay,
jese us nay kaha
" is kalai main ye kaasni" chooriyan
kitni sajti hain na"
buss yahi soch ker
mere hathon main thaami hui chooriyan
chan se bikri sabhi
mere nacklace k motee bikharnay lagay
dil ki ankhon se phir ashk behny lagay
mere poroun se phir khoon tipalny laga
dil b seenay main jese dehaknay laga
jaan nikalnay lagi,
jism marnay laga
apnay hathon se tooti hui chooriyaan,
or tootay huay dil ki ye kirchiyan,
main uthaati gaai…
ankh ansoo lahoo k bahati gai…
main nay sibghaar ko
be khabber teri yadoun main kafna dia
Eid ki rutt, sulaghtay se khawabon samait,
apna murda badan
khaak main teri rahoun k dafna dia
saari sakhiyoun nay mehndi lagaai kanwal~
haath main nay hinna se rachaya nahi
Eid aai mager ! wo kioun aaya nahi…?

Re: Eid aai magar woh kyun aaya nahi..?

Bohat achhey

Re: Eid aai magar woh kyun aaya nahi..?

chand meri Eid ka nikla nahi

wah ji boht khoob

Re: Eid aai magar woh kyun aaya nahi..?

very nice

Re: Eid aai magar woh kyun aaya nahi..?

Thanks :)
<!--Session data-->

Re: Eid aai magar woh kyun aaya nahi..?

Bohat Khoob Dania..:k: