Ehwaal-e-Mausam ... Ba-zubaan-e-Shaeri

:salam: Dosto…

Kese hain sab…mera to garmi se bura hal hai abi March khatam hoa nai ke garmi ka ye aalam:hehe:…BTW i m not here for gossiping :stuck_out_tongue:

so lets come to the point… yahan hum sab aisay ash’ar, ghazalain ya nazmain waghaira share karain ge jin main kisi bhi mosam ka zikar kia gaya ho, agar mosam ka zikar naam ke sath kia gaya ho to aur bhi acha hai…:slight_smile:

to shoro’at main hi karti hon…

**Bahaar aai to jaise ek baar
LauT aaye hain phir adam se
Vo Khvaab saare shabaab saare
Jo tere honThon pe mar miTe the
Jo miT ke har baar phir jiiye the
Nikhar gaye hain gulaab saare
Jo terii yaadon se mushkbu hain
Jo tere ushshaaq kaa lahuu hain

Ubal pare hain azaab saare
Malaal-e-ahavaal-e-dostaan bhi
Khumaar-e-aaGosh-e-mahavashaan bhi
Gubaar-e-Khaatir ke baab saare
Tere hamaare
Savaal saare javaab saare
Bahaar aai to khul gaye hain
Naye sire se hisaab saare
**

re: Ehwaal-e-Mausam … Ba-zubaan-e-Shaeri

Mashallah Innocent Smile … Aap ne tau forun hi responsibilities sambhaal li hain … :k:

Lovely thread with a great idea … :k:
I shall soon contribute, Inshallah !

re: Ehwaal-e-Mausam … Ba-zubaan-e-Shaeri

Thanks Arif bhai :slight_smile:
humain be-qarari se ap ke contribution ka intezar rahay ga :slight_smile:

Re: Ehwaal-e-Mausam … Ba-zubaan-e-Shaeri

Here goes my first contribution … (Hope there isn’t any restriction for more than one time contribution)

**
Koi shay …

Pallat kar waapis nahe aati

Siwaye

Mausamoon ke …

Kaash

Tum bhi mausam hotay …
**

Re: Ehwaal-e-Mausam … Ba-zubaan-e-Shaeri

:k: boht khob Arif bhai…umda nazm hai :slight_smile:
and you can post as many pieces of poetry as you want :slight_smile: no restrictions at all:)

Re: Ehwaal-e-Mausam ... Ba-zubaan-e-Shaeri

^ Thank you ...

Inshallah, I will post more, lekin lets give others try as well ... :)

Re: Ehwaal-e-Mausam ... Ba-zubaan-e-Shaeri

yeah sure ...:)

Re: Ehwaal-e-Mausam … Ba-zubaan-e-Shaeri

Nice thread IS :):k:

**Garmi-e-shaoq-e-jazbaat sey jal jaatey heiN
hum chiraaghoN ki tarha shaam sey jal jaatey heiN :stuck_out_tongue:
**

Re: Ehwaal-e-Mausam ... Ba-zubaan-e-Shaeri

YuNhi mosam ki adaa deikh ke yaad aaya hey
kis qadar jald badal jaatey heiN insaaN jaana

Re: Ehwaal-e-Mausam … Ba-zubaan-e-Shaeri

Sher to acha hai…:k: lekin mosam ki garmi ka kaha tha jazbaat ki garmi ka nai :smack: :hehe:

boht khob:k:

Re: Ehwaal-e-Mausam ... Ba-zubaan-e-Shaeri

nice thred inno...amerbail n Amal posted nice work as well,inshallah 'll come soon with some cool stuff.

Re: Ehwaal-e-Mausam … Ba-zubaan-e-Shaeri

:k:

Re: Ehwaal-e-Mausam ... Ba-zubaan-e-Shaeri

Pyar ke mausam mein sab kuchh suhana lagata hai
Judai ke mausam mein sab kuchh begana lagata hai
Sare bandishon ko todakar mahaboob se milate hain,
Agar koi aitaraz kare to dushman zamana lagata hai
Door rahakar bhi mahaboob dil ke paas rahata hai,
Khwab mein bhi milane ko dil diwana lagata hai
Rat ho ya din dekhe bina kabhi chain nahin ata,
Ankhen char hote he chand bhi puran lagata hai
Verma ishqa ka rog lag jaye to kabhi nahin hatata
Samajhane per bhi sab kuchh afsana lagata hai

Re: Ehwaal-e-Mausam … Ba-zubaan-e-Shaeri

Lajawaab … :k:

Re: Ehwaal-e-Mausam … Ba-zubaan-e-Shaeri

So true … :k:

Re: Ehwaal-e-Mausam … Ba-zubaan-e-Shaeri

Thanks Shazia jee :hugz:

zara jaldi share kijiye ga…:hehe:

Re: Ehwaal-e-Mausam … Ba-zubaan-e-Shaeri

:k: :clap:

boht umdah ghazal share ki ap ne UZ jee. :slight_smile:

Re: Ehwaal-e-Mausam … Ba-zubaan-e-Shaeri

http://i51.tinypic.com/2qun2ir.jpg

Re: Ehwaal-e-Mausam ... Ba-zubaan-e-Shaeri

**
Baarish hui to phooloN ke tan chaak ho gaey
mosam ke haath bheeg ke saffaak ho gaey

baadal ko kya khabar ke baarish ki chaah meiN
kitney buland-o-baala shajar khaak ho gaey

jugnu ko din ke waqt pakarrney ki zid kareiN
bach'chey hamaarey ehad ke chaalaak ho gaey

lehraa rahi hey barf ki chaadar hataa ke ghaas
sooraj ki sheh pe tinkey bhi be'baak ho gaey

**sooraj-dimaag log bhi iblaag-e-fikr meiN
zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaey

jab bhi gareeb-e-shehar se kuch guftugu hui
lehjey hawaa-e-shaam ke nam'naak ho gaey

saahil pe jitney aab-guzeeda the sab ke sab
darya ke rukh badalte hi teyraak ho gaey**


Parveen Shakir
**

Re: Ehwaal-e-Mausam … Ba-zubaan-e-Shaeri

http://cdnimg.visualizeus.com/thumbs/09/01/03/alone,boy,fashion,girl,goodbye,love,past,tumblr-ad2512450c0bc889adf515e621aef1dd_m.jpg

Juda hone ke mausam mein juda hona zaroori thaa
Na-jane kyon kisi ka bewafa hona zaroori thaa

Mere dil ne jo is ko poojnay ki inteha kar di
Tau phir us bewafa ka bhi Khuda hona zaroori thaa

Kisi se koi bhi shikwa na koi bhi shikayat hai
Jo mere sath chaahat mein huwa hona zaroori thaa

Bahut nazdeek thay dil is leye ab dooreyaan bhi hain
Diloon ke darmeyaan kuch faasila hona zaroori thaa

Ussay bhi dard dene ka bahut hi shauk thaa ‘Wasi’
Humein bhi dard-o-gham se aashna hona zaroori thaa …*