Ehtisaab

Har ik zubaan pai hai iddaa-e-be-gunaahi
mujhe khabar nahin maqtool hoon key qaatil hoon
abhi yeh baat mujhe zaib hi nahin deti
abhi tou mein bhi saf-e-mujrimaan mein shaamil hoon

kahin jamaal key mahtaab ki ghani palkein
kahin khayaal key khurshid ki tamaazat hai
meri nigaah mein aarzi adaalatein kiyaa hein
meri shayari meri sab sey bari adaalat hai

bachaa gaein logoun kou mut-tahid lehrein
dabo diyaa hamein paayai-e-tamanna ney
mein kis key haath pai apnaa lahu talaash karoon
tamaam shehar nai pehnay huey hein dastaaney

(Mustafa zaidi)

Re: Ehtisaab

tamaam shehar nai pehnay huey hein dastaaney

Jabhi Karachi mein koi asli mujrim nahin pakra jaata he he!

Re: Ehtisaab

lol, yeh line tou zarb-ul-misl ban chuki hai aur karachi ke liye waaqai fit hai....

Re: Ehtisaab

mein kis key haath pai apnaa lahu talaash karoon
tamaam shehar nai pehnay huey hein dastaaney

:k:

ye ik hi nazm hai?

Re: Ehtisaab

yes…

Re: Ehtisaab

ya allah :hayaa:

is ka matlab samjahyein :lb: