ehtesaab bureau

Be-khaloos logon se ijtenab karna hey
Mujhay apney rishtoan ka ihtesab karna hey

Usay bhool jana hey ya usay yaad rakhna hey
Dukh tu aik jesa hey bus intekhaab karna hey

Re: ehtesaab bureau

Salaams

bohut khoob!

Shukria

Re: ehtesaab bureau

Me aadmi aam sa, ik qisa natamaam sa
Na lehja bemisal hey, na baat mai kamal hey

Hoon dekhnay mai aam sa, udaasiyoon ki shaam sa
Jesey ik raaz hoon, khud se beniyaz hoon

Na mahjabeenoon se rabt hey, na shohrutoon ka zabt hey
Ranjha na qais hoon, Insha na Faiz hoon

Na peykar e ikhlaas hoon, na wafa, dua aur aas hoon
Me shakhs khudshanas hoon,

tum hee karo ye faisla

mai aadmi hoon aam sa ya phir bohat khaas hoon

wasalamz, ap ka bhee shukria!

Re: ehtesaab bureau

Good One Muncho...

Wah :)

muncho bhai kissay bhool rahay hain or kissay yaad kar rahay hain;)

Allah hi janay

ah haa !!!....

shukrub habeebi :)

hehehehe ap aisey hee gaib rahay tu taweel list mai aap bhee shamil ho saktay kaaka!!

... kon bashar hey!!!

'w' likhna bhool gaey aap shayud ;)

lol@ title :hehe:

thankloos g pazeeraee ka :slight_smile: