Aryaan
January 25, 2005, 6:06pm
1
**Ehd-e-wafaa nibhaane ke adaab ka andaaza hai nahi
Mushkil mein chor jaate hain jo, main unn logon mein
Koi gilah tum se, koi shikaayet mujhe nahi
Mujrim hoon main par jurm ki khabar nahi
Iss dil ko bohat samjhaaya ke apna koi nahi
Jaane kyun teri yaadein bhulaa pata nahi
Kitne armaan, kitni hasratein dil mein hi rahin
Kahoon halaat-e-dil, itni taaqat ab mujh mein nahi**
Re: Ehd-e-wafaa nibhaane ke adaab......
Kahoon halaat-e-dil, itni taaqat ab mujh mein nahi .....
Wow Aryaan G,,,bhot khubsurat likha aapne
Re: Ehd-e-wafaa nibhaane ke adaab......
Nice!
Aryaan
January 26, 2005, 7:50am
4
Re: Ehd-e-wafaa nibhaane ke adaab…
Shukriya Dil Dhoondta & Shab-e-Hijar .. …
Re: Ehd-e-wafaa nibhaane ke adaab......
Aryaan,
Koi gilah tum se, koi shikaayet mujhe nahi
Mujrim hoon main par jurm ki khabar nahi
Iss dil ko bohat samjhaaya ke apna koi nahi
Jaane kyun teri yaadein bhulaa pata nahi
Bhaut khoob, yehi dastoor-e-duniya hai payarey ke Mujrim bana detay hai bina jurm bataye.
Tk Cr
Saqi
Aryaan
January 26, 2005, 9:35pm
6
Re: Ehd-e-wafaa nibhaane ke adaab......
Shukriya Saqi ..:)
reet
January 27, 2005, 10:19am
7
Re: Ehd-e-wafaa nibhaane ke adaab…
Kitne armaan, kitni hasratein dil mein hi rahin
Kahoon halaat-e-dil, itni taaqat ab mujh mein nahi
nice Aryaan g…:k:
Aryaan
January 27, 2005, 2:16pm
8
Re: Ehd-e-wafaa nibhaane ke adaab......
shukriya Reet ....:)
Re: Ehd-e-wafaa nibhaane ke adaab......
zabardast
system
January 27, 2005, 8:10pm
10
Re: Ehd-e-wafaa nibhaane ke adaab......
Kitne armaan, kitni hasratein dil mein hi rahin
Kahoon halaat-e-dil, itni taaqat ab mujh mein nahi
Nice... :-)
Aryaan
January 28, 2005, 1:53am
11
Re: Ehd-e-wafaa nibhaane ke adaab......
dosto ghazal ka pehla misra durust karna chahoon ga
Ehd-e-wafaa nibhaane ke adaab ka andaaza hai nahi
Mushkil mein chor jaate hain jo, main unn logon mein nahi
Aryaan
January 28, 2005, 2:09am
12
Re: Ehd-e-wafaa nibhaane ke adaab......
Thanks Man de Mouj & KhmoshNigahein ...:)