***Koi ehad b us ko yaad nahi
koi baat b us ko yaad nahi
ik shaks ne us ko chaha tha
wo zaat b us ko yaad nahi
jab shab ki bijli chamki thi
aur baadal toot k barsa tha
hum dono jis mai beege thay
wo barsaat b us ko yaad nahi
wo sahil, darya, hawa,wo chaman
wo wada saath nibhanay ka
aur shab bhar chand ko dekha tha
wo raat b us ko yaad nahi
wo kehta tha mai sunta tha
mai kehta tha wo sunta tha
in lakho baato mai koi
ik baat b us ko yaad nahi…
Mara naam b us ko yaad nahi
Mari mot b us ko yaad nahi…***