Jhoot kay pardoon ko chehron say hataya jayay
Hukam yeh bhi tou kisi rooz sunaya jayay
Eh meray dais kay logo yeh bata do mujh ko
tum ko iss nend say kab tak na jagaya jayay
aab tou munsaf bhi phirtay hean yahan pay nangay payon
kis ko insaf ki kursi pay bataya jayay
apni tauqeer na khoo bathean kaheen deero haram
hum ko itna bhi na manbar say daraya jayay
abb tou wo basti say nikltay hi nahi kasay lay kar
abb na basti kay fakeeron ko sataya jayay
khoof tera mujhay hakam nahi banney deta
dar meray dil say kabhi tera khudaya jayay
mujhay tou isi khoishish nay parashan rakha
paith bhar kay sabhi bookhon ko khalaya jayay
Re: Eh meray dais kay logo yeh bata do mujh ko
:k:
Re: Eh meray dais kay logo yeh bata do mujh ko
thanx
Re: Eh meray dais kay logo yeh bata do mujh ko
Beautiful… Tnx For Sharing ![]()