:-:-:-:-:-- E i d Ke Ashaa`r --:-:-:-:-:

Assalam O’ Alaiekum !

Guzarish youn hay kay, Mah-e-Mubarak chal raha hay, pehla ashra ikhtitam pazeer ho chuka hai, baqi takreeban 20 rozz reh gaey hain… aur Eid mein itnay hi kuch rozz hain…

EID ho aur EID Card ka zikar na kiya jaey? yea kaisay ho saktay hay… aur EID card Baghair sher kay jaey.. yea tau mumkin hi nahi`n janab…

lehaza.. forun say pehlay apni apni diaries, bayaz khol lain… aur chun chun kar aisay sher paish karien kay sab ash ash kar uthain…

aik punjabi kay lok geet mein say kuch arz karta houn.. then few others…!

Eid Aaee, Mera Yaar Nai Aaya,
Nai Tay Eid Meray Kiss Kamm Di,

Haar Singhar Menu Changa Naiyo Lagda,
Kissay Cheez Tay Nazar Na Jamm Di,

Yaaran Waliyaan Yaaran Day Naal Gaiyaan, Asaan Raat Guzari Aey Gham Di,

Naseeb Jinn Ko Teray Rukh Ki Deed Hoti Hay,
Woh Khush Naseeb Hain Un Ki Eid Hoti Hay…

==========

Eid Ka Din Hay, Gallay Ham Ko Laga Kar Milliyay,
Rasm-e-Duniya Bhi Hay, Moqa Bhi Hay Dastoor Bhi Hay

Daikhtay hain shauq se sub log hilaal-e-eid ka
Ik hamaara hi naseeb haddeyyan turwaa gaya
Chhat pe thay hum “Chaand” ke nazaaray mein khowe huwe
Phir yun huwa ke “Chaand” ka “Abba” waheen pe aa gaya

aik nazm hay

“EID CARD”
Hamesha ki tarha
iss baras bhi
bheja hay uss nay
khubsurat lafzon,dilkash rango say
saja howa eid card mujhay
aur yah tohfa paaker
main tum say
sirf itna pochna chahti hoon
kay
koi jazba bhi hay shamil iss main
yah sirf
reet nibhaa rahey ho…?

dua hay aap dekhey zindagi main beyshumaar eidain
khushi say raqs karti muskarati pur bahar eidain
nichawar aap per hon,esi sad hazaar eidain
zamaney bhar ki khushian aap per kardey nisaar eidain.

hansi khushi terey jeewan ka har safar guzray
meri duaa hay kay terii eid khoob tar guzray

Milay tujhay na dukh zindagi main
phool ki tarha tum mehko khuda karey
zinda rahey naam abad tak tera
eid ki khushian tumhay mubarak khuda karey.

kesay lagey ashaar?
umeed hay pasand aye gain.

I think now lets others to share !

GOD BLESS U
hamesha khush rahain abaad rahain

hehe nice ones:k: … i’ll contribute after goin thru my old cards:D bhool gaye…

Dont’ forget coz your return will be awaited !
:wink: