Dushman mery khusyooN ka zamana hi nahi tha
tum nay bhi kabhi apna tou Jaana hi nahi tha
kia karta akela maiN sajakar koi mehfil
jub sheher maiN kisi nay nibahna hi nahi tha
dil nay tou bohat chaha mager kistarah jeetay
jeenay kay liay koi bahana hi nahi tha
mur mur kay dekhta raha maiN umer bher magar
tum aye nahi tum ko tou aana hi nahi tha
ik rasta bacha tha wo bhi lotnay ka tha.
jata main kahaN koi thikana hi nahi tha
ab jhuk kay mery lash ko jhinjhor rahay ho
jesay tumharay Suhail ko Jaana hi nahi tha