Dushaman ko bhi seenay se lagana nahi bhooley
Hum apne buzurgon ka zamana nahi bhooley
Tum aankhon ki barsaat bachaye huwe rakhna
Kuch log abhi aag lagana nahi bhooley
Yeh baat alag, haath qalam ho gaye apne
Hum aapki tasweer banaana nahi bhooley
Ik umer huwi main tau hansi bhool chuka hoon
Tum ab bhi mere dil ko dukhana nahi bhooley!