Dunyaadaar Aur Fankaar

Duniyadaar aur Fankaar

Duniyadaar Fankaar Say

Tu bhi kabhi muskurayaa hota
Is jahaaN ka khuda jo apnayaa hota

Bheer main phirta beshaql bun kar
Aur izzat ka makhota lagyaa hota

Jamaal-e-fan-e-zindagi say na-ashna rehta
Aur khyaal balNdioN pay na layaa hota

Zauq-e-talab is jahaaN main jurm hai sadioN say
Is jurm pay tujhko na pyaar aayaa hota

Befiqr ki masti main phir tu bhi raqs karta
Riwayaut ko jo khuda tunay banaayaa hota

—######-----

Fankaar Duniyadaar Say

Meri duniya main jo ik baar tu aayaa hota
To yeh reham toonay khud pay hi khayaa hota

HoNth phail jaanay ko hi tu haNsi samjhay
Masrrat ko itna to na girayaa hota

Miltay jo balaNdioN pay basay shffaaf zehan
Apnay aleel fulsphoN pay sharm khayaa hota

Dekhta jo tu meri masarrat ki parvaazaiN
Larkhraatay kadamoN pay apnay na itna itraayaa hota

Samajh paataa tu jo vehshi say insaaN bannay ka safar
To zauq-e-talab ko duniya nay na juram banayaa hota

Ik baar phir chal diya uqta kay woh daanaa
Main hi kaash teri mehfil main na aayaa hota



Re: Dunyaadaar Aur Fankaar

Wah!!

Re: Dunyaadaar Aur Fankaar

thanx a lot

Re: Dunyaadaar Aur Fankaar

good ones!!!

Re: Dunyaadaar Aur Fankaar

Ik baar phir chal diya uqta kay woh daanaa
Main hi kaash teri mehfil main na aayaa hota

Wah brinder Ji Buhat Khub:)

Re: Dunyaadaar Aur Fankaar

Thanx a lot for the kind words.