Dunya Ko Meray Dil Se Shikayaat Ajab Hain

Dunya Ko Meray Dil Se Shikayaat Ajab Hain
Mein Kaisay Bataon Meray Halaat Ajab Hain

Mein To Wohi Kehta Hon K Jo Beet Raha Hai
Or Log Ye Kehtay Hain K Khayalaat Ajab Hain

Ab K Koi Ihsaas Bhi Honay Nahi Deta
Ab K To Teray Gham K Kamalaat Ajab Hain

Apni To Hai Sab Jung Ki Tayyari Mukammal
Par Mad-e-Muqabil K Bayanaat Ajab Hain

Mashkook Si Khamoshi Hai Bechain Labon Par
Masoom Si Aankhon Mein Sawalaat Ajab Hain

-=EnD=-
(Farhat Abbas Shah)

lajavab intekhab :~)

Me Bhangra Paaying :bhangra:

Thanx AnChaal :blush: