Afraad kay haathouN maiN hay aqwaam kee taqdeer
Har fard hay millat kay muqaddar ka sitaaraa!
Mehroom rahaa dolat-e-daryaa say woh Ghawaas
Karta nahiN jo sohbat-e-saahil say kinaaraa!
DeeN haath say day kar agar azaad ho millat!
Hay aisee tijaarat maiN musalamaaN ka khassaaraa!
Dunyaa ko hay phir ma’arka-e-Rooh-O-Badan paish
Tehzeeb nay ‘phir’ apnay DARINDOUN ko ubhaaraa!
ALLAH ko paa mardi-e-Momin pay bharossaa
Ibless ko europe kee machinouN ka sahaara!
Taqdeer-e-Ummam kia hay? koie keh nahiN saktaa
Momin kee faraasat ho tau kaafi hay ishaaraa!
Akhlaas-e-Amal maaNg nayaa gaan-e-Guh’n say ![]()
“ShahaaN chay Ajab gar banu azand gadaa raa”