Aik Ghazal,
Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai
Mil Jaye To Mitti Hai, Kho Jaye To Sona Hai
Acha Sa Koi Mausam, Tanha Sa Koi Aalam
Her Waqt Ka Rona To, Bekaar Ka Rona Hai
Barsaat Ka Baadal To Deewana Hai Kya Jaanay
Kis Raah Se Bachna Hai, Kis Chhat Ko Bhigona Hai
Gham Ho Ki Khushi Dono, Kuch Dair Ke Saathi Hain
Phir Rasta Hi Rasta Hai, Hasna Hai Na Rona Hai
Umeed Hai Aap Logon Ko Pasand Aye Gi..
Regards,
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..
Barsaat Ka Baadal To Deewana Hai Kya Jaanay
Kis Raah Se Bachna Hai, Kis Chhat Ko Bhigona Hai
Nice .. Yar hosakay Tu poet ka Naam bi likdia karo :)

thnx.. but em so sorry k poet name is not known to me :(
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..
The world of passion is like a magical toy, If we find it, it is like nothing; but if lost, it was the most precious thing. :hinna:
Then , I bet you must have heard it in JagJit’s Album ’ Come Alive In Concert '…
Anyway as far as I rem … The poet is Nida Fazli … Sahe Yaad nahi hai . lakin shayad Fazli shaab hi ki takleeq hai yea ..
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..
maybe.. em not sure 
wese mainay jajit ki awaz main bhi nahi suni hui 
meray pas to meri diary main thi to post ker di 
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..
Bhai jaan Khushi ka to maloom nahi, but gham to hamesha ka sathi hai. bakol Ghalib saab k:
Qaed-e-Hayaat-o-Band-e-Gham, asal mein dono aik hein
Moat se Pehlay Aadmi Gham se Nijaat Paaey Kyon
Anywayz, Nice ghazal. :k:
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..
very good gazal sung by jigjit.
thanks Ahmer for posting.
best,
Dushwari
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..
even love found is not as special as unrequited love!
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..
awesome!!!...
muncho
10
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..
wah g nice sharing
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..
Salaam
Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai
Mil Jaye To Mitti Hai, Kho Jaye To Sona Hai
uf yeh line to udas ker gye :(
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..
aap sab ka bay’hud shukria 
:halo:
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..
Salaam
plz tell me aap yeh poetry kahan say letay hian ?
plz tell me
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..
from books and web :halo:
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..
nycee bro
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..
Salaam
plz tell me kon se Web site say latay ho aap plz jawab zaroor dena !
Hafiz Sufyan
Azad
17
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..
Kis Chhat Ko Bhigona Hai :hinna:
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..
V. Nice Ahmer.. :k:
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..
aap sab ka buhat shukria :)
Re: Dunya Jisay Kehtay Hain, Jaadu Ka Khilona Hai..

dear koi website to nahi.. there are many.. wese u cn find dem on google 