*** Dil jo bhi kahay ga Maanay gay***
Duniyan mai hamara dil hi tu hai
Har haal main jis nain Saath diya
Woh aik bechara dil hi tu hai
Koie saathi na koie sahara
Koie Manzil na koie kinara
Rukk gaey jis jaghah dil nain roka
Chal deay jis taraf dil pukara
Hum pyaar kay piyasay logoun ki
Manzil ka Isharah dil hi tu hai
Dunyia main hamara dil hi tu hai
Haar maani nahin zindagi say
Hans kay miltay rahay har kisi say
Kion na is dil pay Qurbaan jain
Seh liay jis nain ghum bhi khushi say
Sukh main jo na khalay hum hi tu hain
Dukh say jo na hara Dil hi tu hai
Duniyan main hamara dil hi tu hai
Apni zinda dilli kay saharay
Hum nain din zindagi kay guzaray
Warna is bay Murrawwat Jahan main
Aur Qubzay main kia hai humaray
***Har cheeze hai daulat waloun ki ***
Muflis ka sahara dil hi tu hai
***Duniyan main hamara dil hi tu hai :jano: ***